Maa Brahmacharini Aarti
ब्रह्मचारिणी माता आरती - Brahmacharini Mata Aarti by Anuradha Paudwal - नवरात्रि दूसरे दिन की आरती
Durga aarti in Hindi. Sung during Navratri.
Maa Brahmacharini Aarti
जय अम्बे ब्रह्मचारिणी माता ।
जय चतुरानन प्रिय सुख दाता ॥
ब्रह्मा जी के मन भाती हो ।
ज्ञान सभी को सिखलाती हो ॥
ब्रह्म मन्त्र है जाप तुम्हारा ।
जिसको जपे सकल संसारा ॥
जय गायत्री वेद की माता ।
जो मन निस दिन तुम्हें ध्याता ॥
कमी कोई रहने न पाये ।
कोई भी दुख सहने न पाये ॥
उसकी विरति रहे ठिकाने ।
जो तेरी महिमा को जाने ॥
रुद्राक्ष की माला ले कर ।
जपे जो मन्त्र श्रद्धा दे कर ॥
आलस छोड़ करे गुणगाना ।
माँ तुम उसको सुख पहुँचाना ॥
ब्रह्मचारिणी तेरो नाम ।
पूर्ण करो सब मेरे काम ॥
भक्त तेरे चरणों का पुजारी ।
रखना लाज मेरी महतारी ॥
Jay Ambe Brahmacāriṇī Mātā |
jay Caturānan priy sukh dātā ||
Brahmā jī ke man bhātī ho |
jñān sabhī ko sikhlātī ho ||
Brahma mantra hai jāp tumhārā |
jisko jape sakal saṃsārā ||
Jay Gāyatrī Ved kī Mātā |
jo man nis din tumheṃ dhyātā ||
Kamī koī rahne na pāye |
koī bhī dukh sahne na pāye ||
Uskī virati rahe ṭhikāne |
jo terī mahimā ko jāne ||
Rudrākṣ kī mālā le kar |
jape jo mantra śraddhā de kar ||
Ālas choṛ kare guṇgānā |
māṃ tum usko sukh pahuṃcānā ||
Brahmacāriṇī tero nām |
pūrṇ karo sab mere kām ||
Bhakt tere caraṇoṃ kā pujārī |
rakhnā lāj merī mahtārī ||